Wednesday, March 3, 2010

Khuda

tere chehre mein kabhi dikhta hai
Kabhi dil mein mere milta hai

Khuda bhi aawaara hai shayad

Pyaar

Ye duniya nazar nahin aati mujhe
Bas teri soorat hi dikhti hai ab

Andha nahin, kaana hai pyaar

Friday, October 5, 2007

Raakh

chaand bujh gaya
Main jal gaya

raakh hain donon

Ajnabi

Zindagi..

Pahchana shahar
Ajnabi Chehre

Thursday, August 23, 2007

Dhakka

chalta dil ruk gaya
ruki gaadi chal padi

dhakka jo laga tha

Shaam

subah ka bhoola hoon
intezar shaam ka hai

beet gaye kitne baras

saans

dor yeh unki zindagi se bandhi hai
ki neend mein woh saans lete hain

jagte hain khwab to mar jate hain

Khatra

Bhookh pyaas ki daud hai ye saari
Jannat mein suna hai ye nahin hota

Khatra maut se nahin zindagi se hai

yunhi

yun hi nahi darwaza khula rakhte hain
ghar me roshni ke liye dhoop bhi chahiye

tum bhi to aajkal aati nahi ho

Aukaat

bachana apna khudi ka chehra
ki chehre hi aukaat banate hain

bin chehre ke sikke khote kahlaate hain

tahzeeb

pahan.ne ko bas patte hi hua karte the
ab magar humne short skirts bhi bana liye

hamare tahzeeb ne kitni tarakki kar li

Chhal

chhal to har haal mein hona hi tha
aage jana duniya se peechhe jana tumse

bebasi dagabaaji nahin hoti hai sada

lams

Chhoo lo mujhe
to mar jaaunga

Zinda ab bhi nahin

Jhooth

kasmein khaayee thi tumne
chaand par haath rakhkar

chaand dikhta nahin hai ab

berozgari

kahte hain bikti hai har cheez jahan mein
jaanta tha jhooth hai par aaj yeh samjha

khada hoon bazar mein kahreedar nahin milta

Armaan

Zameen chubhti thi jab
aasman ka armaan tha

sitaare chubhte hain ab

Judwa

hazar koshish karo rokne ki
woh magar saath hi aati hai

maut judwa hai zindagi ki